Sunday 19 February 2012

"kaanth ki kashti"

chood kinaara nikal padi hun main inn unchi-nichi,uchhalti-kudti leheron mein,
Bina kisi ilm ke ,ki na jane kab yeh leherein mujhe apne sath le jaye,
Kuch deewangi si chhai hai mujh par,kuch junoon sa sawaar hai sir par,
Ladti jhagadti inn tufaano se gujarti ja rahi hun main,



Manzil hai dur bahot ,raah bhi asaan nahi,
Par josh jawaan hai iss dil mein,himmat mene bhi hari nahi,

Sukoon mera uss dar kinaar khada hai,
Haan woh mera intezaar kar raha hai!!


Friday 3 February 2012

SHADES OF LIFE!!

ISS TEJ RAFTAR SE BHAGATI JINDAGI MEIN HUMNE HAR MAUSAM KO BADALTE DEKHA HAI

JAHA HUMNE HAWA SE BAATEIN KARTI GADIYON KO DEKHA HAI VAHI HUMNE HAATHI SE MAST CHAAL CHALTE CYCLE CHALKO KO BHI DEKHA HAI

HA KUCH HI LAMHO MEIN HUMNE JINDAGI KE MAYANO KO BADLTE DEKHA HAI

DEKHA HAI HUMNE UNN CHHOTE-CHHOTE BACHHO KO SARD RAATON MEIN KHULE AASMAN TALE SOTE AUR WAHI UNN RATON MEIN HUMNE MEHANGI GARM COFFEE KA MAZA LENE WALO KO BHI DEKHA HAI


JAHA DEKHA HAI HUMNE KALIYON KO PHOOL BANATE VAHI HUMNE LOGO KO JINDAGI SE HARTE DEKHA HAI


KISI KE ARMANO KO PANKH LAGTE TOH KISI KI KHWAISHON KO PAL PAL MARTE DEKHA HAI


HAI KITNI AJJEB YE JINDAGI ..EEK HAI MAGAR ISKE SATRANGI RANGO KO HUMNE DEKHA HAI
KISIS KO JEENE KA JAZBA DETI HAI TOH KISIS KO HAALATON KI MAAR DETI HAI


JINDAGI SE SIKHI INN BAATON KO HUMNE ANDHERI RAATON MEIN CHAND KE SAMAN HAMESHA APNE SATH CHALTE DEKHA HAI!!